Views: 207
Umrao Jaan (New)
Movie/Album: Umrao Jaan (New)
Year: 2006
Music Director: Anu Malik
Lyricist: Javed Akhtar
Singers: Alka Yagnik, Sonu Nigam
Dekhaa hame kuch aise, ki behkaa diyaa hamein
Tumne to khwaab dekhanaa, sikhalaa diyaa hamein
Us zindagi se kaise sitam ko gilaa kare
Jis zindagi ne aapse milwaa diyaa hamein
Dekhaa hame kuch aise, ki behkaa diyaa hamein
Ankhon mein hai nashile bhavar zulf mein lehar --- (2)
Daayra ye kaisa husn kaa, dikhla diya hamein
Armaano kaa jahaan mohabbat ki daastan --- (2)
Hum kya kahe ki apne kya kya diya hamein
Dekhaa hame kuch aise ki, behkaa diya hamein
Manzar tamaam rang mein dube hue se hai --- (2)
Tumne ye kis makaam pe, pohancha diya hamein
Ye aap hai ki aaya hai mausam bahar ka --- (2)
Shadaab kar diya hamein mehaka diya hamein
Dekha hame kuch aise, ki behka diya hamein
Tumne to khwaab dekhana sikhla diya hamein
Us zindagi se kaise sitam ko gilaa kare
Jis zindagi ne aapse milawa diya hamein
Dekha hame kuch aise, ki behka diya hamein