Views: 266
Jaaneman
Movie/Album: Jaaneman
Year: 2006
Music Director: Anu Malik
Lyricist: Gulzar
Singers: Sadhna Sargam, Sonu Nigam
Mohabbaton mein marnewale bhi ajeeb hai
Azim hai hamari dastaan jaan-e-man
Faaslon pe rehte hai lekin kareeb hai
[Humko maalom hain ishq masoom hain
Dil se ho jaati hain galtiyaan
Sabr se ishq mehroom hain]----- (3)
Huaan jo zamane ka dastoor hain
Woh maane nahi ?? naaraaz tha
Meri barbaadiyon ka woh aaghaaz tha
Ishq ka ek hi ek andaaz tha
Woh na raazi hue hum bhi baaghi hue
Bekaraar hum faraar ho gaye
Humko maalom hain ishq masoom hain
Dil se ho jaati hain galtiyaan
Sabr se ishq mehroom hain
Main pareshan hoon ek majboori par
Hoga gam jaankar saath hoon main magar
Mujhko rehna padega zara doori par
Sirf do hi mahine hai seh lo agar
Mera future hai teri kasam
Mera future hai jismein piya
Humko maalom hain ishq masoom hain
Dil se ho jaati hain galtiyaan
Sabr se ishq mehroom hain
Waqt se haara aur lauta jo main
Lautkar apne ghar jaa chuki thi piya
Phone karta raha phone bhi na liya
Maine khat bhi likhe saal bhar likhe
Meri aawaz pahunchi nahi
Kho gayi meri piya kahi
Mujhko umeed thi ek din toh kabhi
Woh bhi aawaaz degi mujhe
Humko maalom hain ishq masoom hain
Dil se ho jaati hain galtiyaan
Sabr se ishq mehroom hain