Views: 112
Don (New)
Movie/Album: Don (New)
Year: 2006
Music Director: Shankar, Ehsan, Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Singers: Shankar Mahadevan
Mere saare palchhin saare din
Tarsenge sune tere bin
(Tujhko phir se jalwa dikhana hi hoga
Agle baras aana hai aana hi hoga)--- (2)
Dekhengi teri raahen pyasi pyasi nigaahen
Toh maan le tu maan bhi le mera kehna
Laut ke tujhko aana hai sunle kehta deewana hai
Jab tera darsan paayenge chain tab hamko paana hai
Morya morya morya re bappa morya morya morya re ---- (2)
Ho khushiyon ke din ho ke gam ka zamana
Dil bas leta hai naam tera
Tere hi kaaran hai jeevan suhana
Tu hi toh mann mein tan mann mein basa
Har ghadi dhyan rahe tera
Main hoon tera chahanewala japta hoon teri maala
Toh maan le tu maan bhi le kehna mera
Laut ke tujhko aana hai sunle kehta deewana hai
Jab tera darsan paayenge chain tab hamko paana hai
Morya morya morya re bappa morya morya morya re ----- (2)
Tu hi toh karta hai poori har aasha
Tu hi toh beda paar kare
Tu hi samjhe jo mann ki hai bhasha
Tu hi toh dhadkan dilon ki suney
Tujhse hai duniya mein kya chhupa
Ab main tujhse kya maangu tu mera main tera hoon
Toh maan le tu maan bhi le tu kehna mera
Laut ke tujhko aana hai sunle kehta deewana hai
Jab tera darsan paayenge chain tab hamko paana hai
Morya morya morya re bappa morya morya morya re ---- (2)
(Tujhko phir se jalwa dikhana hi hoga
Agle baras aana hai aana hi hoga)---- (2)
Ek don teen char ganpati cha jayjaykaar
Panch sche saat aath ganpati hamare saath